Tu Yaad Aya Lyrics by Adnan Sami is latest song with music given by Kunaal Vermaa. Tu yaad aaya song lyrics are written by Kunaal Vermaa and video is directed by Arvindr Khaira.
\n
\n
Tu Yaad Aya Song Detail
\n
Lyrics by: Kunaal Vermaa
\nSinger: Adnan Sami
\nComposer: Kunaal Vermaa
\n
\n
Tu Yaad Aya Lyrics
\n
Huyi mahhobat ki baat phir
\nSata rahi hai yeh raat phir
\nBhiga rahi hai in aankhon ko
\nBewaqt ki yeh barsaat phir
\n
Aa gaya kyu labon pe
\nYeh naam tera bata
\n
Tu yaad aya, tu yaad aya
\nTu yaad aaya hai aaj phir
\nJo teri baaton ne dil dukhaya
\nTu yaad aya hai aaj phir
\n
Kabhi yeh saansein thi bas tumhari
\nJo ab hain zaaya fazool hain
\nThe khwaab jin aankhon mein wafa ke
\nWahan judaai ki dhool hai
\n
Guzar gaya tu main hi wahan hoon
\nJahan tu aaya na laut kar
\nNa phir kisi se yeh dil lagaya
\nTu yaad aya hai aaj phir
\n
Tu yaad aya, tu yaad aya
\nTu yaad aaya hai aaj phir
\nJo teri baaton ne dil dukhaya
\nTu yaad aya aaj phir
\n
Mujhe hawayein suna rahi hain
\nJo baatein hum tum bhula gaye
\nHain aate jaate mujhe bhigate
\nKyun aaj mausam rula gaye
\n
Use talaashun jo kho gaya hai
\nKahan milega woh humsafar
\nJise tha maine kabhi bhulaya
\nTu yaad aaya hai aaj phir
\n
Tu yaad aya, tu yaad aya
\nTu yaad aaya hai aaj phir
\nJo teri baaton ne dil dukhaya
\nTu yaad aya aaj phir
\n
Ho meri jaan yaad aaya
\nTu yaad aya
\n
\n
Tu Yaad Aya Song Video
\n
